khusravi achchi laga na sarwari achchi lagi

ya rab butfaile rasool saqlain
ya rab butfaile faatahe badr hunain
isiyane mara do hissa kun dar e rasat
nive bahasan ma baksh nive bahussain

rab ne farmaya merri qudrat ki hadd koi nahi
aur mere mehboob ki rehmat ki hadd koi nahi
jab malak samjhe nahi toh aadmi samjhega kya
aamina ke laal ki azmat ki hadd koi nahi

jis dil mein muhammad ki muhabbat nahi hoti
us par kabhi allah ki rehmat nahi hoti
meri yeh aqeeda hai agar zikr khuda mein
yeh naam na shaamil ho ibaadat nahi hoti

main rukh dayar e haram se badal nahi sakte
khayal nabi ka dil se nikal nahi sakta
dar e huzoor se hargiz tal nahi sakta
fakeer gair ke tukdon pe pal nahi sakta

jise ishq e nabi haasil nahi hai
munawwar us bashar ka dil nahi hai
 na ho jisme shah e butha ki ulfat
kasam allah ki woh dil nahi hai

khusravi achchi laga na sarwari achchi lagi
ham fakeeron ko madine ki gali achchi lagi

sanam ke pujari sanam chahte hain
haram ke bhikhari haram mangte hain

sakiye kausar ka daaman mil gaya jisko usse
maikada achcha laga na maikashi achchi lagi

rakh diye sarkar ke kadmon pe sultanon ne sar
is qadar mere nabi ki saadgi achchi lagi

zara unka duniya mein rehna toh dekho
woh paththar ka takiya aur kaali kamliya

zamaane ka daata magar ghar mein faaka
khudayi ka maalik magar pet khaali

salaam uspar ke jiske ghar mein chandi thi na sona tha
salaam uspar ke toota boriya jiska bichchona tha

main na jaaunga kahin bhi dar nabi ka chchor kar
mujhko koo e mustafa ki chaakari achchi lagi

goonj uthti hai duroodon aur salaamon ki sada
mehfil e sarkar jis jaa bhi saji achchi lagi

waalihana ho gaye jo tere kadmon pe nisaar
mujhko tere doston ki dosti achchi lagi

keh diya sarkar ne mehfil mein deewana mujhe
mere aaka ko meri deewangi achchi lagi

aye haleem aa naaz kar ke do jahan ke shah ko
gar lagi achchi toh teri jhopdi achchi lagi

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha