charcha har anjuman mein jo unki ada ka hai

charcha har anjuman mein jo unki ada ka hai
paakiza rooh kushada jab bhi sahib e jamaal
bahre nigah par chehre anwar kya majaal
paiwasta woh bhawein woh ghanere siyaha baal
andaaz pur shakoh toh awaaz pur jaalaal
guftar dil wazeer khamoshi mein ik waqaar
alfaaz jaise sil ke gauhar haay aabdaar

jannat nazar woh kaamat e mauzoom dil nasheen
aaalam shikar woh nigah e chashme surmayeen
ik shaahakaar e khulq pasandeeda khoo makeen
khud aye tamaazo sayyid o ab makhtoom o pur yakeen
yun apne sathiyon mein numaayan falak ma-aab
wo jis tarah sitaaron ke qurbat mein mahtaab

ukba ne aake aapse ik roz yeh kaha
maqsood jam e maal hai isse agar tera
kar denge milke tujhko bahut maaldaar hum
daulat pe apni denge tujhe ikhtiyaar hum
hota jo ik taizaar hi maqsood aapka
mauka tha isse badhke bhala aur kaunsa
lekin kayaam e haq tha risaalat ka mudda
har cheez naqabool tha tauheed ke siwa
kis darja bemisaal thi seerat rasool ki
daulat qabool ki na huqoomat qabool ki

tha ibtida se khidmat e khalq aap ka shiaar
rehte the doosran ke masail se beqaraar
apno ke charaasaaz the gairon ke gham busaar
hamdard tha yateem ke bewa ke pardadaar
har bekaso ghareeb ke khidmat guzaar the
dukh dard mein shareeq musibat mein yaar the
raahat faza nazar toh sukhan kaif aafreen
raftaar dil fazeer toh  qirdar dil nasheen
iss darja sabko aapki seerat pe tha yakeen
kehte the log aapko assadful yameen
charcha tha inmein sahib e khulq e azeem ka
sab par asar tha tab aapki saleem ka

hai noor e haq ka mazhar e awwal nabi ka noor
jisse hua hai anfuso aafaq ka zahoor
insaan ko bandagi ka is hi se mila shaoor
momin issi ke ishq mein rehta hai nashaor
roz e azal hi yeh noor hi maksood e kul hua
khairul bashar hua yahi khatmul rasul hua

rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin
yahi khairul bashar hua

is noor se sajayi gayi bazm e qayanaat
is noor se bapa hua hangaama e hayaat
noor e muhammadin tha ik aaeena e sifaat
dekha jab ismein haq ne khud apna jamaal e zaat
har parda e gayaab mein maujood ho gaya
khud aap apna zaahid o mashoor ho gaya

zaat e rasool bakshish o rehmat thi sar ba sar
adna si ek baat thi ahsaan o dar guzar
thi inteha na aapke khulq e azeem ki
dekhe toh koi shaam e rasool e kareem ki

teemacha e riza hai qayaam e aboodiyat
laayein hain sab rasool payaam e aboodiyat
har baam se buland hai baam e aboodiyat
irfan ki inteha hai makaam e aboodiyat
apni aboodiyat pe jo hazrat ko naaz tha
poshida is ada mein yahi khaas raaz tha

woh shah e naamdar the mehboob e qibriya
thi husn e lamyazal pasand unki har ada
naazan hua kabhi na risaalat pe mustafa
jab bhi kaha nabi ne ana abd hoo kaha
rakha aboodiyat ka muqaddam huzoor ne
paigam e bandagi diya paiham huzoor ne

aeene rozgaar ki tashkeel ho chuki
muddat hui ke deen ki taqmeel ho chuki
aayat e bayiyanat ki tanzeel ho chuki
duniya mein band wahi ki tarseel ho chuki
insaniyat ka uswa e kaamil huzoor hain
is karaawan e zeest ki manzil huzoor hain
roshan hai nakshe sayyid e abraar aaj bhi
mehfooz hai huzoor ka qirdaar aaj bhi
sunte hain kaan aaj bhi guftaar aaj bhi
nazron mein hai woh aalam e anwaar aaj bhi
ik ik ada huzoor ki mashhood hai yahaan
mera rasool aaj bhi maujood hai yahaan

Comments

  1. There are so many mistakes please correct them.

    ReplyDelete
  2. There are so many mistakes please correct them.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Please point out, so that I can correct them.

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha