tujh pe qurban tann mann dhan

rehmaton ki nadeed ganj e shakar
jannaton ki kaleed ganj e shakar
mujhko mehshar ka khauf ho kyun kar
hain mere ya fareed ganj e shakar

parda uth jaye deed ho jaaye
hum ghareebon ki eid ho jaaye
jo padi thi nizam sabir par
wo nazar ya fareed ho jaaye

tujh pe qurban tann mann dhan
aye mere shah e paak e pattan
sadka khwaja e uswa rahe
ye talawat bhari si chaman

dil o jaan hai teri nazar ke liye
jabeen wakf hai sange dar ke liye

wo dard e muhabbat tu karde ata
tadapta rahoon umar bhar ke liye

unhi nigahon se phir chak lijiye chilman se
wo jin nigahon se pehle kiya shikar mujhe

meri nazar ka hai maksad tere jamaal ki deed
tujhe jamaal mila hai meri nazar ke liye

wo ek sajda jo akhir chchupaye baitha hoon
wo maine chchant kar rakha hai tere dar ke liye

baba mera tum hi bharam ho
aata nahi mujhe jab koi aasra
padhti hai baar baar meri tum par nazar fareed

khwaja moin ke faiz se haath aa gaaya mere
daaman tera fareed tera sang e dar fareed

baba mera tum hi bharam ho
nazar e karam ho nazar e karam ho

qayamat na bapa karde kahin chaukhat pe deewana
dil e betaab mehroom e tadapta leke aaya hoon

baba mera tum hi bharam ho
nazar e karam ho nazar e karam ho
bheekh do bekason ke sajan
aye mere shah e paak e pattan

pag pag barse rehmat chcham chcham 
allah kayam baithe har dum
roza e peshwa ki pawan
aye mere shah e paak e pattan

baba saari sudh budh kho gayi
mori preet suhagan ho gayi
jab se laagi hai to se lagan
aye mere shah e paak e pattan

Comments

  1. Kya aap iska hindi mein translation kar ke upload kar sakti ho

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha