ab kya sochein kya hona hai jo hoga achcha hoga

ab kya sochein kya hona hai jo hoga achcha hoga
pehle socha hota pagal ab rone se kya hoga

yaar se gham kehkar toh khush ho lekin tum yeh kya jaano
tum dil ka rona rote the woh dil mein hasta hoga

aaj kisi ne dil toda toh hamko jaise dhyan aaya
jiska dil hamne toda tha woh jaane kaisa hoga

mere kuch pal mujhko de do baaki saare din logon
tum jaisa jaisa kehte ho sab waisa waisa hoga

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil