mere sabir teri chaukhat ki kasam khaata hun

mere sabir teri chaukhat ki kasam khaata hun
jalwa dikhaado saabiri makhdoom saabir kaliyari
ho jaaye hajj e akbari makhdoom saabir kaliyari

wakaf e israar e haq rabb e majeed
dilbar e ganj e shakar baba fareed

jalwa e shaan e walayat haidari
bandaparwar baadshah e kaliyari

makhdoom ali ahmad alauddin wali
seerat e husn e nabi soorat e ali more saabir

khwaaja moin ka laadla khwaja qutab ka dilruba
mehboob e zauduham piya kaun mere saabir

ghaus al wara ki aal hain
ganj e shakar ke laal hain
wo hain nishaan hain
gharee kaun mere saabir

main saabiri kyun na naaz ho mujhko
hain nisbat aap ki wajah nijaat ya saabir

mere sabir teri chaukhat ki kasam khaata hun
yaad kaliyar jab aati hai tadap jaata hun

dil tadapta hai jab roze ki ziarat ke liye
paak pattan tere hujre ko main choom aata hun

bhardo bhardo mere saabir meri jholi bhardo
baat reh jaaye ke mangta tera kehlaata hun

ke tumne badlin hain laakhon ki kismatein saabir
baat reh jaaye meri bhi

jo bhi dar pe saayil aata
mann ki muraadein sab hai paata
main bhi aap ka hun kehlaata
bhikh mujhe de de saabir

aarzu yeh hai ke maut aaye tere kooche mein
rashq e jannat tere kaliyar ki gali paata hun

iss ameer e dile e khasta ki tumhein laaj rahe
saabiri khaatimon main bhi gina jaata hun

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha