jiski janib wo nazar apni utha dete hain

jiski janib wo nazar apni utha dete hain
uski soyi hui taqdeer jaga dete hain

teri duzdeeda nigahon ko dua dete hain
jitne chubhte hain yeh teer utna maza dete hain

jabse dekha hai unhein apna mujhe hosh nahin
jaane kya cheez wo nazron se pila dete hain

takht kya cheez hai aur laal o jawahar kya hai
ishq waale to khudaayi bhi luta dete hain

ek din aisa bhi aata hai muhabbat mein zuroor
khud wo ghabraa ke naqaab apna utha dete hain

apni barbaadi pe khush hoon yeh suna hai jabse
woh jise apna samajhte hain mita dete hain

apne daaman ko zara aap bacha kar rakhna
sard aahon se bhi hum aag laga dete hain

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha