saqi e karbal mujhe bhar bhar ke jaame gham pila

wo jo gulere aaze rasool tha
wo jo noor e chashme gutool tha
ussi ek shakhs ke qatl se
meri kitni sadiyan udaas hain

saqi e karbal mujhe bhar bhar ke jaame gham pila
ye gham e shabbeer hi mere dukhon ki hai dawa

maarkaye karbala ka mukhtasir hai waakya
ghar luta shabbeer ka deen e muhammad bach gaya

kaun tujhpe aa raha qurbaan hone ko hussain
jiski nanhi teg pe sehma hua hai hurmala

hai namaazi bhai mera yeh koi baaghi nahi
karbala se shaam tak kehti raha ik berida

ambiya jinn o malaayak dil ko thaamo ke hussain
seena e akbar se phal barchi ka phenkenge zara

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil