saare jahaan se pyari aankhein tumhariyaan hain

dekhi hain jab se hamne nazrein utaariyan hain
saare jahaan se pyari aankhein tumhariyaan hain

ik baar to kabhi tum halki si chchab dikha do
is aarzu mein hamne umarein guzariyaan hain

chehre pe kaali zulfein dhaati qayamaatein hain
misri ki tarah meethi aankhein tumhariyaan hain

tum bin yahan pe jeena jeena bhi kaisa jeena
yeh raunakein jahaan ki tumse hi saariyaan hain

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil