na pehle tha koi na ab hai na hoga

kul ambiya se afzal aalin makaam hain woh
allah bhejta hai jispar salaam hain woh
aksaame ki imaamat saare payambaron ki
saare payambaron ko beshak imaam hain woh

nabi sayyid ul ambiya ke baraabar
na pehle tha koi na ab hai na hoga

muhammad ka saani muhammad ka hamsar
na pehle tha koi na ab hai na hoga

rasool aur bhi aaye jahaan par lekin unsa
na pehle tha koi na ab hai na hoga

taaha o yaseen muzammil
markaz e kul aur husn e mukammil

norr e mubeen hain haq ke kareen hain
farsh makeen hain arsh nasheen hain

noor e munawwar awwal o aakhir
roshan roshan baatin zaahir

rasool e mujtaba kahiye
muhammad mustafa kahiye
khuda ke baad bas woh hain
phir iske baad kya kahiye

muhammad ka saani muhammad ka hamsar
na pehle tha koi na ab hai na hoga

agar hai toh ik allah ki hai
jo zaat e muhammad se aala hai warna
muhammad se aala muhammad se badhkar
na pehle tha koi na ab hai na hoga

jise haq ne bulwaaya arsh e ulah par
hua fazl e haq se jo mehmaan e daawar
khuda ki khudaayi mein aisa payambar
na pehle tha koi na ab hai na hoga

zulaikha thi jispe fida jaan o dil se
yun yusuf bade khoobsoorat the lekin
rukhe mustafa se haseen rooh e anwar
na pehle tha koi na ab hai na hoga

nabi saare mehboob hain qibriya ke
magar ueh bhi sach hai bajuz mustafa ke
habeeb e khuda dono aalam da dilbar
na pehle tha koi na ab hai na hoga

badayi mein purnam wo baad az khuda hain
shah e ambiya hain shah e do sara hain
bashar unke rutbe ka allah o akbar
na pehle tha koi na ab hai na hoga

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha