tere qurban pyare muhammad

jisne dekhe nain matwaale tere
maston bekhud na ho to kya kare
ik nazar jo dekh le kehta phire

tere qurban pyare muhammad
gir raha hoon mujhe bhi sambhaalo

tujhe khaalik ne tarahdaar banaya
yusuf ko tera taalib e deedar banaya
konain banaye gaye sarkar ki khaatir
konain ki khaatir tumhein sarkaar banaya

punji tumhein di apne khazaanon ki khuda ne
mehboob kiya maalik o mukhtaar banaaya
beyaaron madadgaar jinhein koi na pooche
aison ka tujhe madadgaar banaaya

dekhein tera jalwa to tadap jaaye nazar bhi
roshan hai tere noor se sooraj bhi qamar bhi
ik main hi nahi sab hain tere chaahne waale
allah bhi hoorein bhi farishte bhi bashar bhi

dono aalam ki ibtida tum ho
rehmat e haq ki inteha tum ho
apne saaye bhi juda tum ho
kuch na samjha koi ke kya tum ho

apne pyare nawaason ka sadka
ya nabi meri jholi mein daalo

koi apna nahi roz e mehshar
hai yahan nafs o nafsi ka aalam

ham gunahgaar hain ya muhammad
apni kamli mein hamko chchupaalo

noor se noor milne chala hai
mustafa se khuda keh raha hai

yeh hai mairaj ki raat pyare
apne chehre se parda hataalo

teri deed karne ko khud khuda
tujhe paas apne bula liya
to bitha ke saamne yeh kaha
yeh hai mairaj ki raat pyare
apne chehre se parda hataalo

shab e mairaj jab wo khaas parde ke qareeb pahunche
sada parde se aati thi aao tumse kya parda

door ho jaayenge sab andhere
noor hi noor ankhon mein hoga

dekhna hai agar unka jalwa
apne dil ko madina bana lo

yaad aane laga sabz ghumbad
sun lo fariyaad apne fana ki

hijr mein dil behalta nahi hai
ya muhammad madine bulamlo

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil