abbas alamdaar

abbas te raza ke wafa yaad rahega
shabbeer ko jaana fida yaad rahega
saajid jo talak paani sakeena ne kiya tha
jaana sarre maqtal wo tera yaad rahega

abbas alamdaar alamdaar alamdaar
hai aashiqon ka kaafila saalaar alamdaar

sakhiyon ka sakhi noor ka meenar alamdaar
abbas alamdaar alamdaar alamdaar

karbal ke shaheedon ka jo sadka ho pilate
mujhko bhi ata jaam ho sarkaar alamdaar

jab paani ki khaatir lab e dariya tu gaya tha
jibreel hua tera tarafdaar alamdaar

sabr tera qehre samundar se bhi gehra
abbas tujhe dekhne sooraj bhi hai thehra
saajid yeh sabhi hoor o malak dekh rahe hain
abbas tera aalik e khaimon ka yeh pehra

abbas teri aal se ulfat kamaal hai
shabbeer se tumhari muhabbat kamaal hai
qurban ho ke bhai pe rakhi wafa ki laaj
saajid mili saki ko shahadat kamaal hai

abbas tera naam wafa ka jamaal hai
abbas tera pyar hua lazawaal hai
saajid tu aal e paak ke khaimon ka paasbaan
islam ki jo dhaal hai tu uski dhaal hai

yeh saari safeelein tere sadke se lagi hain
hai saari duaon ka tu haqdaar alamdaar

ik nanhi si awaaz hai karbal mein kehti
ab dard judaayi hun chacha roz main sehti
behta hua saajid kabhi paani na piyungi
din raat teri yaad mein yeh ankh hai behti

ab pyasi sakeena kabhi mangegi na paani
vehamon mein chale aayiye ik baar alamdaar

ho maula ali baaj ka shahkaar alamdaar
abbas alamdaar alamdaar alamdaar

islam ke parcham ko kati baahon se thaama
tu saare alamdaaron ka sardar alamdaar

deta hai ali maula ka shabbeer ka bhai
saajid hai wafaon ka alamdaar alamdaar

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil