subu ko daur mein laao bahaar ke din hain

subu ko daur mein laao bahaar ke din hain
hamien sharaab pilaao bahaar ke din hain

yeh kaam ain ibaadat hai mausam e gul mein
hamein gale se lagao bahaar ke din hain

yeh ehteyaat o takalluf bhi theek hai maana
magar yeh bhool na jaao bahaar ke din hain

junoon ka hukm suno aur amal karo uspar
khirad ko aag lagao bahaar ke din hain

thehar thehar ke na barso umad pado ik dum
sitam zareef ghatao bahaar ke din hain

shikaste tauba ka kab aisa aayega mausam
adam ko gher ke laao bahaar ke din hain

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil