yaad ka deep jalaaya

yaad ka deep jalaaya
to unhein yaad aaya
bhoola afsaana sunaaya
to unhein yaad aaya

sarre shaam unka aana
koi baat tera lafz sunaana
jhuki jhuki nazren uthaakar
zara sa muskurana
unhein jab yaad dilaaya
to unhein yaad aaya

wo suhaani chaand raatein
gili gili chchat pe mulaakaatein
milna kabhi seedhiyon mein chchup ke
aahat se darr jaana
soye lamhon ko jagaaya
to unhein yaad aaya

badi sangdil ghadi thi
saamne judaayi jab khadi thi
bheegi bheegi palkein uthaake
kehna hamein bhool jaana
dil ka har zakhm dikhaaya
to unhein yaad aaya

chchaaye aise gham ke saaye
phir na yeh lab muskuraaye
kaliyon ke khilne ke mausam
yun to kayin baar aaye
ashq daaman mein chchupaaya
to unhein yaad aaya

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha