ya muhammad madine bula lo mujhe

madine wale aaka yeh toh hasrat kam se kam nikle
tumhara rooh e anwar dekh ke aashiq ka dam nikle

ya muhammad madine bula lo mujhe
mere gham ki dawa aur koi nahi
kisko aaka musibat mein aawaaz dun
mera tere siwa aur koi nahi

suno suno mere haajat rawa rasool allal
mera tere siwa aur koi nahi

gham ke maaron ka aasra tum ho
besahaaron ka aasra tum ho

de raha hoon sada par sada rasool allah
mera tere siwa aur koi nahi

mere sar se na jab tak musibat tali
mere aaka main dunga duhaayi teri
meri fariyaad tere siwa jo sune
ya nabi mustafa aur koi nahi

tumse kahunga tum hi sunoge
tum hi meri laaj rakhoge

gar tum na sunoge to kaun sunega
meri fariyaad sun lo

dukh dard bhare naale mere
gar tum na suno to kaun sune

ya muhammad mustafa
fariyaad hai fariyaad hai

dil ki chchoti si ik kahaani
aap sun len to meharbaani hai

dil ki fariyaad lab pe aayi hai
kamli wale teri duhaayi hai

tera dar chchor kar kahan jaaun
ab kahin aasra nahi milta
saari duniya ko dekh aaya hun
koi bhi aapsa nahi milta

teri rehmat ko aisa taras aa gaya
maine jo maanga mujhko wohi mil gaya
tujhse badhke sakhi aur koi nahi
mujhse badhke gada aur koi nahi

tu karam hi karam tu ata hi ata
karam ki ik nazar ho ya muhammad besahaaron par
badal jaati hain takdeerein tere ik ishaare par

sultan e haram
tu karam hi karam

ab to mayil ba karam chashme karam ho jaaye
door dilse mere ukba ka alam ho jaaye
main bhi hun aapse ab reham o karam ka taalib
mujh pe bhi shah e ummam ek nazar ho jaaye

talab ka meem to kis kaabil hai aaka
magar tera karam shamil hai aaka

waah kya jood o karam hai shah e baduha tera
nahi sunta hi nahi mangne wala tera

bad sahi chor sahi mujrim o nakara sahi
kuch sahi kaisa sahi hun to kareema tera

meri khataon ki koi inteha nahi lekin
tu woh karim hai jiska mujhe sahaara hai

khushk hone na diya tere karam ne mujhko
ask e hazrat hun nadaamad ka pasina hun main

tu karam hi karam tu ata hi ata
main khata hi khata bekason mein nawa
tujhko deta hoon shabbeer ka waasta
mujhko aati dua aur koi nahi

bas yahi ek 'Naadir' ki hai aarzu
meri sarkaar rakh le meri aabru
tune bhi gar na mujhko sahaara diya
phir mera aasra aur koi nahi

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil