tujhko aata hai har ik dukh ka madaawa karna

nabi ki yaad hai sarmaaya gham ke maaron ka
yahi toh ek wasila hai besahaaron ka
huzur chashm e inayat huzur chashm e karam
yahi wazifa hai din raat beqaraaron ka

tujhko aata hai har ik dukh ka madaawa karna
ik nazar meri taraf bhi shah e baduha karna

gham ka maara hoon besahaara hoon
kuch bhi hoon aaka tumhaara hoon

besahaara hoon mera koi zamaane mein nahi
ya muhammad mustafa mujh par karam farmayiye

karam karam shah e baduha tumhein pukaara hai
khuda ke baad faqatv aap ka sahaara hai

aarzu hai to faqat teri hai dil mein aaka
tamanna hai ke ab yin hi basar ho
mera sar ho nabi ka sang e dar ho
ibadat ho to itni mautabar ho
mera sar ho nabi ka sang e dar ho
dar e aaka pe aise jaan nikle
zubaan pe naam gumbad par nazar ho
meri aahon mein ya rab yeh asar ho
yahan tadpun madine mein khabar ho

ilahi aarzuu e deeda e purnam nikal jaaye
muhammad ya muhammad kehte kehte dam nikal jaaye

aarzu hai to faqat teri hai dil mein aaka
dil ne seekha hi nahi aur tamanna karna

tu hai sakhiyon ka sakhi main tere dar ka saayil
mera dil aur meri jaan madine waale
tujh pe sau jaan se qurban madine wale
tera dar chchor ke jaaun to kahan jaaun 
mere aaka mere sultan madine wale
bharde bharde mere daata meri jholi bharde
apna rakh besar o saaman madine waale

tu hai sakhiyon ka sakhi main tere dar ka saayil
mujhko mohtaj na duniya mein kisi ka karna

sadka hasnain kar dena shafaat meri
hashar ke roz na imdaad ko ruswa karna

main deewana hoon mere paas mehshar mein khade rehna
najaane kya kahun main aur kya pooche khuda mujhse

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha