chaand doob jaata hai dekh kar tera chehra

chaand doob jaata hai dekh kar tera chehra
choom kar teri zulfein raat muskurati hai

kya teri adayein hain kya teri jawaani hai
raah bhool jaate hain tujhko dekh deewane

hosh loot leti hai teri chaal mastaani
har nazar teri zaalim bijliyan giraati hai

kookti hai jab koyal dil ki dhadkanein bann kar
khushbooyein bikharti hain hasraton ki raahon mein

pyar muskuraata hai zindagi ki baahon mein
baandh kar saba ghungru geet tere gaati hai

husn se baraste hain rang maifaroshi ke
zulf se chalkti hai saawamom ki angrayi

jaam raqs karte hain har taraf fizaon mein
dhal ke teri ankhon se jab sharaab aati hai

phool muskuraahat ke jab labon pe khilte hain
kitne rang bharte hain husn ki kahaani mein

chaandni bichaata hai chaand teri raahon mein
teri maang mein taare kehkashan sajaate hain

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha