hashar mein kuch mile na mile ya nabi

allah ki ham jalwagari dekh rahe hain
ya husn o jamaal e madni dekh rahe hain
jis waqt padho salle allah aale muhammad
samjho ke rasool arabi dekh rahe hain

ilaaj ki nahi haajat dil o jigar ke liye
bas nazar teri ik kaafi hai umar bhar ke liye

hashar mein kuch mile na mile ya nabi
kali kamli ka saaya mile ya nabi

rusihakar mere aib khule jaate hain
kamli waale mujhe kamli mein chchupaale aaja

sarkar mujhe apna hi deewana bana lo
sarkaar mujhe daaman e rehmat mein chchupaalo

rusihakar mein aamal mere hain kale
kali kamli mein chchupaalo meri sarkar mujhe

aap ki chashme rehmat ke hain muntazir
bekason ko sahaara mile ya nabi

hai tere haath aasiyon ki laaj
sab tere aastaan ke hain mohtaaj

sabz ghumbad ke chchaaon mein aakar rahein
aap ka gar ishaara mile ya nabi

khaahish e kasre jannat nahin hai hamein
aap hi ka dawara mile ya nabi

waasta chaadar e bintazara hamein
kuch nawaason ka sadka mile ya nabi

manno salwah mein toh nahi chaahiye
aapke dar ka tukda mile ya nabi

hai zaheer e hazeen ki yahi aarzu
hazre aswat ka bosa mile ya nabi 

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha