asghar tere jhoole mein khamoshi badi hai

kya denge sakeena ko dilaasa nahi raha
jeene ka ab sahaara zara sa nahi raha

ab koi sada jhoole se aati hi nahi hai
kya pyas bujh gayi hai ya pyasa nahi hai

asghar tere jhoole mein khamoshi badi hai
paani liye sakeena hairaan khadi hai

ye kaun hai kanon se lahu behta hai jiske
teeron se bhare shakhs ki seene pe badi hai

zewar kiya shabbeer ne karbal ki zameen ko
har laash nageeni ki tarah is mein jadi hai

aye maut kyun pasina hai aaj jabeen par
chche maah ke asghar se teri aankh ladi hai

ik nok aazma rahi hai sabr shah ka
hamshakal e mustafa ke jo seene mein gadi hai

qaid yeh khat jaake tu baba ko sunaade
cheekhein hain sadaayein hain aur aag badi hai

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil