meri tauba

tu maaf karenga mere saare gunah
meri tauba meri tauba meri tauba tauba

mujhe maloom hai mujrim hoon main aur tu mera hakim
jabeen toh aaj meri ankhon mein ashqon ki hai rimjhim

koi banda jo tere dar pe aansu rol deta hai
mere maula dar e tauba tu uspe khol deta hai

tu zaroor sunega mere dil ki sada
meri tauba meri tauba meri tauba tauba

tere dar pe main kyun na sawaal karun
tu rahim bhi hai tu karim bhi hai tu

main toh kast bhi hoon main hakeer bhi hoon
tu buland bhi hai tu azeem bhi hai

jo main jhel chuka wo bahut hai saza
meri tauba meri tauba meri tauba tauba

gham ka maara hoon besahaara hoon
hun bura ya bhala tumhara hoon

mere gunah zyaada hain ya teri rehmat
kareem tu hi bata de hisaab karke mujhe

mujhe karde muaaf apne rasool e paak ke sadke
khatayein baksh de meri shah e laulaak ke sadke

mere maalik duhaayi hai tujhe aale payambar ki
riha karde ghamon se karbala ki khaak ke sadke

andheron mein mujhe taabindagi de de mere maula
naya mujhko shaoor e zindagi de de mere maula
meri tauba meri tauba meri tauba tauba

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha