sab ambiya ke sayyid o sarwar huzur hain

teri sana ke khuda banda lazayaal hai tu
yahi misaal hai teri ke bemisaal hai ktu
tera kamaal hi duniya ke har kamaal mein hai
yeh shaan teri ke har shaan mein kamaal hai tu

konain ka masjood hai mabood hai tu
har shai teri shaahid hai ke mashhood hai tu
har ek ke lab par hai teri hamd o sana
har souz mein har saaz mein maujood hai tu

har chand khataakaar gunahgaar hoon main
jaam e mai tauheed se sharsaar hun main
kuch aur nahin meri tamanna ya rab
bas ik teri rehmat ka talabgaar hun main

tazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

sarware qayaanaat ke sadke
paikar e bahayaat ke sadke
wajah kono makaan hai zaat unki
zaate waala safaat ke sadke

sab ambiya ke sayyid o sarwar huzur hain
mere rasool mere payambar huzur hain

meri najaat unke karam par hai munhasir
mehshar mein ek shaafa e mehshar huzur hain

gunahgaaron na ghabraao
mehshar mein ek shaafa e mehshar huzur hain

aasi hun baksh dene ka waada kiya toh hai
jannat mujhe mile na mile aasra to hai

shams ud duha huzur hain badr ud duja huzur
mujtaba mustafa muhammad hain
shah e har do sara muhammad hain
kya bataaun kya muhammad hain
husn ki ibtida muhammad hain
ishq ki inteha muhammad hain

jisne dekhe nain matwaale tere
maston mein khud wo na ho to kya kare
ik nazar jo dekh le kehta phire
mukh chand badar shah shaani e
maththe chamke laat noorani e
kaali zulf te ankh mastaani e
makhmool akhin ehna mad bhariyan
os soorat nu main jaan akhan
jaan aage jaan jahaan aakhan
sach aakhan te rabb di shaan akhan
jis shaan ton shaanan sab baniyaan
subhanallah mah ajmal ka
mah aasan ka mah akmal ka
kithe mehr ali kithe teri sana
gystaakh akhi kithe jaa lariyan

shams ud duha huzur hain badr ud duja huzur
meri nazar mein noor ka paikar huzur hain

makhdoom e qayanaat hain maula e qayanaat
sach toh yeh hai ke isse bhi badhkar huzur hain

mazhar hujhoom e gham mein na itna malool ho
jab banda e khuda mere yaawar huzur hain

Comments

  1. Ya Rasool Allah..!
    Allah mazhar sahab ko Neil taufeek de jisne bhi a khalam likha.!

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil