sughra ke khwaab ki hai tabeer karbala mein

dastar par hai khoon ke chcheente pade hue
ik phool ke seene mein hain khanjar gade hue

hai koi jo is khwaab ki tabeer bataaye
kuch laut kinaaron pe hain pyase khade hue

sughra ke khwaab ki hai tabeer karbala mein
pur khoon hai mustafa ki tasveer karbala mein

tareekh ke kalam hain bazu abbas ke
likhega apne khoon se tehreer karbala mein

muh mod ke dariya o maqtal ka rukh karo
seh roz ka hai pyasa besheer karbala mein

jhukna ali ke khoon ki fitrat mein hi nahi
katke bhi sar buland hai shabbeer karbala mein

ibn e ali ne apne nana ke deen par
kardi hai daan saari jaageer karbala mein

band kar diya hai paani kheme jala diye
peeron ko sataate hain bepeer karbala mein

lehja hai buturaab sa jurrat hussain si
khutabein suna rahi hain hamsheer karbala mein

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil