bewafa se bhi pyar hota hai

udaasiyan jo na laate toh aur kya karte
na jashn e shola manaate to aur kya karte
andhera maangne aaya tha roshni ki bheekh
ham apna ghar na jalate toh aur kya karte

maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai
in haseen rahguzaaron meintumhein dekha hai
mere mehboob teri parda nasheeni ki kasam
maine ashqon ki qataaron mein tumhein dekha hai

jab bhi roohdaad e gham sunaate hain
ashq palkon pe muskuraate hain
jinki khaatir luta diya sab kuchch
wo hi mera nishaan mitaate hain

bewafa se bhi pyar hota hai
yaar kuchch bhi ho yaar hota hai

kismat mein naumeedi e hasrat hai kya karun
us bewafa se mujhko muhabbat hai kya karun

yakeen e ishq toh dekho ke uske waadon par
fareb khaaye bahut phir bhi aitbaar kiya

main jiske ek ishaare pe jaan waar aaya
usse na meri muhabbat ka aitbaar aaya

lakar raha tha faqat tajurba muhabbat ka
ab aisi aag lagi hai bujha nahi sakta
yeh maanta hoon main tujhe paa nahi sakta
tera khayaal magar dil se jaa nahi sakta

zulf rukh se hata ke baat karo
raat ko din bana ke baat karo
yeh bhi koi andaaz e guftgu hai
jab bhi karo dil dukha ke baat karo

har ek baat pe kehte ho tum bata tu kya hai
tumhi batao yeh andaz e guftagu kya hai

na sahe teri naseehat mere kis kaam aaye hai
nek o bat soojhat nahi jab dil kahinlag jaaye hai

hazrat naseh jo aayein deeda o dil farsh e raah
yeh toh samjhaao ke woh aake samjhaayenge kya

marne waale toh apni jaan se gaye
yaar ki bewayiyaan na gayin

kya hua unka saath gar hai raqeeb
phool ke saath khaar hota hai

ishq ki qayanaat mein naseh
husn parwardigar hota hai

aeena utha laaye aur aqs se yeh bole
husn parwardigaar hota hai

kyun bhala dost se na khaate fareb
dost par aitbaar hota hai

jab woh aate nahi shab e waada
maut ka intezaar hota hai

ishq pe zindagi ka hai purnam
saara daromdaar hota hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha