dard e isiyan se riha hone ka chaara maango

ya rab batufaile rasool saqlain
ya rab batufaile fatahe badr hunain
isiyane mara do hissa kun dar aa rasaat
nive bahasaan ve baksh nive bahussain

isiyan se kabhi hamne kinaara na kiya
aur toone dil azurda hamaara na kiya
hamne to jahannum ki bahut ki tajweez
lekin teri rehmat ne gawaara na kiya

koi kehta hai ke kaabe mein khuda rehta hai
koi kehta hai ke sarre arshe ullah rehta hai
ham fakeeron ka aqeeda hai wo mabood e azeem
aone mehboob ke jalwon mein chchupa rehta hai

momin kabhi ghamnak nahi ho sakta
aur rafta e ziraat nahi ho sakta
sarkaar e madina ki muhabbat ke bagair
insaan ka dil paak nahi ho sakta

karam se silsila hai kaif mere jurm e behadd ka
ke main mujrim sahi par naam levahoon muhammad ka

dard e isiyan se riha hone ka chaara maango
mangne waalon muhammad ka sahaara maango

roze mehshar se na ghabrao tadapne waalo
karam bannkar wafa bannkar sakha bannkar ata bannkar
khuda ka noor utra  aasmaan se mustafa bannkar

idhar aao idhar aao muhammad mustafa waalon
muhammad mustafa waalon ko jannat dhoondhti hogi

mehshar mein wohi jins khareedenge muhammad
jis jins ka koi bhi kharidaar na hoga

roze mehshar se na ghabrao tadapne waalo
meri sarkaar ki rehmat ka ishaara maango

saakiye taiba ka har jaam sada deta hai
kharabatiyo maiparasti karo
muhammad kaho aur masti karo

aflak se khenchi jaati hai
taiba se mangayi jaati ha
tawheed ki mai saagir se nahi
aankhonn se pilaayi jaati

saakiye taiba ka har jaam sada deta hai
jeena chaaho to madine ka nazaara maango

aur maango na zahoori koi bas iske siwa
apne allah se allah ka pyaara maango

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha