saari daulat khuda ki madine mein hai

ya khuda jism mein jab tak ye mere jaan rahe
tujhpe sadke tere mehboob pe qurbaan rahe
kuch rahe ya na rahe par yeh dua hai ki ameer
aakhiri waqt salaamat mera imaan rahe

ya muhammad tere jalwon mein wo rainaayi hai
dekhne par bhi meri ankh tamannayi hai
hai khuda bande karim aur muhammad bhi karim
do karimon mein gunahgaar ki bann aayi hai

bigdi hui bannti hai har baat madine mein
ghamkhaar muhammad ki hai zaat madine mein

saari daulat khuda ki madine mein hai
taajdaare zamaana madine mein hai

jiski khaatir banaaye gaye do jahaan
wo rasool e yagaana madine mein hai

tujhko waaiz mubarik haram ki fiza
main mukhalif nahi hun tere zauk ka

par yahan mera sajda ho kaisa ada
yaar ka aastaana madine mein hai

ghamzadon gham ke maaron madine chalo
bekason besahaaron madine chalo

utho aye bilfigaron madine chalo
rehmaton ka khazaana madine mein hai

aaftaab e do aalam madine mein hai
aamina ka sitara madine mein hai

husn poore ka poora madine mein hai
ishq saare ka saara madine mein hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha