shab e waada awwal to aate nahi the

tanhayi mein fariyaad to kar sakta hoon
veerane ko aabaad to kar sakta hoon
jab chahoon tumhein mil nahi sakta lekin
jab chaahun tumhein yaad to kar sakta hoon

shab e waada awwal to aate nahi the
jo aaye bhi toh raat aisi gawaayi

kabhi raat ko tune tumne gesu sawaare
kabhi raat ko tumne mehndi lagaayi

bhala apne naalon ki mujhko khabar kya
shab e gham hui thi kahan tak rasaayi

magar yeh adhu ki zubaani suna hai
badi mushkilon se tumhein neend aayi

gila bewafaayi kis se karein ham
dil liya aur dil o jaan se muh pher liya
leke dil ek pareeshan se muh pher liya

gila bewafaayi kis se karein ham
hamaara gila koi sunnta nahi hai

khuda tumko rakhe jawaani ke din hain
tumhaara zamaana tumhaari khudaayi

har ik ne diye mere shikwon pe taane
tere zulm lekin kisi na pooche

meri baat par toh rootha zamaana
teri baat duniya ne zubaan par na laayi

sarre shaam aane ka waada kiya tha
magar raat ab toh dhali jaa rahi hai

najaane kahaan raah mein ruk gaye woh
najaane kahaan deri itni lagaayi

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha