yun hain saare auliya ganje shakar ke saamne

shahbaaze lamaakani baba fareed
qibla gahe aashiqan baba fareed
khwaja e hindal wali farma gaya
sajdagah e chishtiyan baba fareed

jannaton ke kaleeb ganj e shakar
rehmaton ki naweed ganj e shakar
mujhko mehshar ka khauf ho kyun kar
hain mere ya fareed ganj e shakar

yun hain saare auliya ganje shakar ke saamne
jis tarah taare hain chamakte hon qamar ke saamne

aaj woh aayenge parde pher karke saamne
raqs khelo chistiyon baba ke ghar ke saamne

baba bhi saamne hain saabir bhi saamne
raqs khelo chistiyon baba ke ghar ke saamne

yun pada hun main dar e ganj e shakar ke saamne
ho koi bimaar jaise chaaragar ke saamne

jo sihakaaron kar dete hain pal mein basafa
mujhsa ik badkaar kya unki nazar ke saamne

dekhiye apni inaayat se ata karte hain kya
aaj haazir hai n bhikhari taajwar ke saamne

sajda uska bandagi uski raza uski hui
ho ibaadat jiski baba tere dar ke saamne



Comments

  1. May I Request an English Translation Please.
    Jazakallah

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha