ibn e haider tu khuda ka raaz hai

rasm e usha ki yahi hai ke wafa karte hain
yani har haal mein haq apna ada karte hain

haunsla hazrat e shabbir ka allah allah
sar juda hota hai aur shukr e khuda karte hain

khuda wale khuda ko iss tarah se shaad karte hain
gale pe deg lab pe shukr dil mein yaad karte hain

ibn e haider tu khuda ka raaz hai
khuda ki zaat bhi karti hai naaz kya kehna
hussain paak tumhari namaaz kya kehna

ibn e haider tu khuda ka raaz hai
tujhpe shaah e ambiya ko naaz hai

shehar yaar e gham shahed e nainawa
dhoom hai duniyamein tere naam ki
hoke maidaan e bala mein surkhuru
tune rakh li aabroo islam ki

hussain teri sada lailah ilallah
hussain teri ada lailaah ilallah
hussain teri sana lailaah ilallah
hussain teri dua lailaah ilallah

hussain teri shahaadat pe fakhr hai sabko
ke karbala mein tera azm maat khaa na saka
kiya tha tune farozan jahurriyat ka chirag
koi yadeed usse aaj tak bujha na saka

lailah ki hai sadaein de raha ibn e haider ki wohi aawaaz hai
lailah ki hai sadaein de raha woh shikasta zindagi ka saaz hai

sar kata kar laaj rakh li deen ki
ik taraf duniya ki sab rahat thi aur aaraam tha
ik taraf sar de ke deen e haq bachaana kaam tha
raahat e duniya na li qurban e haq sar kar diya
ya hussain e ali ye aapka hi kaam tha

jo tha wo raah e haq mein sabhi kuch luta diya
baaki na kuch bacha to sar apna jhuka diya

hussain husn e takhayyul pe chchaye jaate hain
dillon mein dard ki duniya basaaye jaate hain
shaheed e haq ko sadakat ne kar diya saabat
khuda ki raah mein yun ghar lutaaye jaate hain

sar kata kar laaj rakh li deen ki shaah e karbal tu sada katsaaz hai
sar hai neze par talaawat kar raha ye ali ke laal ka andaaz hai

har shahaadat ki shahaadat tu bana
allah ke anwaar ki tanveer hai hussain
aur khwaab e  ibrahim ki taabeer hai hussain
samjhe koi na samjhe koi  jaane ya na jaane
quran hai quran ki tafseer hain hussain

har shahaadat ki shahaadat tu bana ibne haider ye tera ezaaz hai
jiske seene mein nahi hub e hussain wo munafiq hai tafar ka baaz hai

teri midhat hai fareedi kar raha asal mein ye bhi tera ejaaz hai
ibn e haider tu khuda ka raaz hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil