iss taraf bhi karam aye rashq e masiha karna

ilaaj ki nahi haajat dil o jigar ke liye
bas ik nazar teri kaafi hai umar bhar ke liye

iss taraf bhi karam aye rashq e masiha karna
ke tumhein aata hai bemaar ko achcha karna

aye junoon kyun liye jaata hai bayabaan mein mujhe
jab tumhein aata ghar ko mere sehra karna

jab bajuz tere koi doosra maujood nahi
ik teri yaad hai main hoon shab e tanhayi hai

har tamanna dil se rukhsat ho gayi
aa bhi jaao ab to khalwat ho gayi

jag mein aakar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha

yaar ko hamne ja ba ja dekha
kahin zaahir kahin chchupa dekha

kahin wo baadshah e takht nasheen
kahin kaasa liye gada dekha

kahin zaahid bana kahin aabid
kahin rindon ka peshwa dekha

nesti hasti hai yaaron aur hasti kuch nahi
main hi main hoon yaaron aur koi nahi

jis taraf dekha makaam e hu nazar aaya mujhe
kuch nazar aaya nahi jab tu nazar aaya mujhe

har ne har mein dhoom machayi
zaat sifat mein aan samayi
bahut hi hamne kiya parekha
bhika kurka ant na dekha
jo dekha so us hi ko dekha
yaar mila par mila harjaayi

na tann dekhat hoon na jaan dekhta hoon
tujh hi ko nihaan aur ayaa dekhta hoon

kisi se meri manzil ka pata paaya nahi jaata
jahan main hoon faishton se wahan jaaya nahi jaata
dui ka tazkara tauheed mein paaya nahi jaata
jahan meri rasayi hai wahan saaya nahi jaata

har aur heera ek hai jo gur heere ki kaan
je sir ditteyan yaar mile te hajje vi sasta jaan

bheekha wo nar andh hai jo gur ko akhe aur
har roothe gur melsi jo gur roothe naahi thaur

kabhi hamse kabhi gairon se shanasaayi hai
baat kehne ki nahi tu bhi toh harjayi hai

jo kuch kaha to tera husn ho gaya mehdood
rahun khamosh to tu hi sab kuch hai

jab bajuz tere koi doosra maujood nahi
phir samajh mein nahi aata tera parda karna

parda e hasti o mauhoob hata do pehle
phir jahan chaaho wahan yaar ko dekha karna

shikwa aur shikwa e mehboob e ilahi tauba
kufr hai mazhab e u shakbe shikwa karna

aisi ankhon ke tassaduq meri ankhein bedam
ke jinhein aata hai az yaar ko apna karna

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha