allah hoo allah hoo allah hoo allah hoo

ya khuda jism mein jab tak ye mere jaan rahe
tujhpe sadke tere mehboob pe qurbaan rahe
kuch rahe ya na rahe par ye dua hai ke ameer
niza ke waqt salaamat mera imaan rahe

teri sana ke khuda banda la sazal hai tu
yahi misaal hai teri ke bemisaal hai tu
tera kamaal hi duniya ke har kamaal mein hai
ye shaan teri ke har shaan mein kamaal hai tu

sana bashar ke liye hai bashar sana ke liye
tamaam hamd sazaawaar hain khuda ke liye
ata ke saamne ya rab khata ka zikr hi kya
ke tu ata ke liye hai bashar khata ke liye

allah hoo allah hoo allah hoo allah hoo
ye zameen jab na thi ye jahaan jab na tha
chaand sooraj na the aasmaan jab na tha
raaz e haq bhi kisi par aya jab na tha
tab na tha kuch yahaan tha magar tu hi tu

pahunche meiraaj mein arsh tak mustafa
jab na mabood o bande mein parda raha
tab malayak ne hazrat se jhuk kar kaha
saari makhlook mein haqnuma tu hi tu

kyun piya ibn e haider ne jaam e fana
khaal khinchwayi tabrez ne kyun bhala
daar par chad ke mansoor ne kya kaha
sab bana ke khilaune raha tu ho tu

tu jo har aan mein hi shaan dikha deta hai
deeda e shauk ko hairaan bana deta hai
daali daali teri takhleeq ke gun gaati hai
patta patta kehta hai ke maujood hai tu

maalik ummul ke la shareekala hu
wahda hu la ilah illah hu

main gunahon ka bhaar rakhta hoon
dil mein apne shumaar rakhta hoon
baksh dene ki tujhko qudrat hai
tujhpe main aitbaar rakhta hoon

khaalik e kul hai tu
jidhar dekhta hoon tu hi tu hai

khaalik e kul hai tu ismein kya guftgu
saare aalam ko hai teri hi justju
teri jalwagari hai aya chaar su
lashareeka la hu maalik e mulk tu

ham kya hain jo koi kaam hum se hoga
kya faayda fikr e besho gham se hoga
jo kuch hua hua karam se tere
jo kuch hoga tere karam se hoga

jo teri rehmat ka munkir ho vo mera dil nahi
mangna jisko na aaye wo koi saail nahi
aye karam parware karam  mere gunahon par na ja
reham ke kaabil hoon main insaaf ke kaabil nahi

lailah teri shaan ya wahdahu
tu khayaal o tajassus tu hi aarzu
ankh ki roshni dil ki aawaaz tu
tha bhi tu hai bhi tu hoga bhi tu hi tu




Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil