ab dekh ke jee ghabraata saawan ki suhaani raaton ko

ab dekh ke jee ghabraata saawan ki suhaani raaton ko
piya chchor gaye dil tod gaye ab aag lage barsaaton ko

aye jaan e muhabbat jaan e ghazal aao to tumhari nazar karein
ankhon mein sajaye baithe hain ham pyar bhari saugaaton ko

yun pyar ki kasmein kha kha kar kyun jhoothi tasalli dete ho
bas rehne do ham jaan gaye sarkaar tumhari baaton ko

maska hua aankchal shaanon pe ye zulf ke lat uljhi lujhi
ankhon ki khumari kehti hai rehte kahin tum raatein ko

zulfon ko hawa mein lehraana has has ke tumhara bal khaana
andaaz hain sab dil lene ke ham jaan gaye in baaton ko

bedard haseenon ki khaatir kyun hote ho badnaam fana
safa ki sitamgar kya samjhin ham dilwalon ki baaton ko

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil