door dil se har musibat ho gayi

door dil se har musibat ho gayi
aap ki chaukhat se nisbat ho gayi

nisbat se nijas bhi paak ho jaate hain
aap ki chaukhat se nisbat ho gayi

jhuka ke sar tere aastaan pe mujhe har ik mudda mila hai
teri gali chchor doon kaise teri gali mein khuda mila hai

na butkade se na kaabe se lau lagi meri
tumhare nakshe kadam se hai zindagi meri

jurm e behadd ke siwa daman e rehmat ke siwa
pass kuch bhi toh nahi teri nisbat ke siwa

main yahin karunga sajde yahi mera mudda hai
jo mila nahi haram se tere dar se wo mila hai

ke mujhkpe aisa karam kiya ye teri bandanawaziyan hain
bana ke apna fakeer mujhko gham e jahaan se chchura liya

teri mil gayi ghulami mera martaba na poocho
aap ki chaukhat se nisbat ho gayi

jaisa raha jahaan bhi raha jis jagah raha
dil ki nazar se teri taraf dekhta raha

koi baitha rahe andesha o farda lekar
mutmaeen hun teri nisbat ka sahaara lekar

tere sang e dar se kuch aisi aqeedat ho gayi
umar bhar ki ek sajde mein ibaadat ho gayi

yaar ka aastaana mila hai leke sabko thikaana mila hai
mil gaya tera nakshe kadam bandagi ka bahaana mila hai
husn tujhko mila aur hamein jazba e aashiqaana mila hai
ho na jispe tumhaara karam koi aisa gada na mila hai
naaz hai humko takdeer par humko tera gharaana mila hai
har bhikari bana taajbar kya sakhi aastaana mila hai
uth gaye jo dar e yaar se phir usse raasta na mila hai
jaan e jaan tere darbaar se rehmaton ka khazaana mila hai
aye bana koocha e yaar mein har kisi ko thikaana mila hai

door dil se har musibat ho gayi
aap ki chaukhat se nisbat ho gayi

har tanabba dil se rukhsat ho gayi
aa bhi jaao ab to khalwat ho gayi

mil gayi jab se ghulaami aap ki
meri iss duniya mein izzat ho gayi

unke paayein naaz pe sar jhuk gaya
aaj takmeel e ibaadat ho gayi

has diye tum dekh kar jis dam mujhe
door dil se har shikaayat ho gayi

mar gaya jo naam lekar aapka
maut usko khwaab e raahat ho gayi

tu hamein jaane tamanna kya mila
har tamanna dil se rukhsat ho gayi

tere dar pe mil gayi do gaz zameen
shukr hai mitti sawaarat ho gayi




Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil