hum apni shaam ko jab nazre jaam karte hain

dekh kar aap ki jawaani ko aarzu e sharaab hoti hai
roz tauba ko todta hoon main roz niyat kharaab hoti hai

saaki ke gesuon ki hawa khaa raha hoon main
aur iss hawa ke saath uda jaa raha hoon main

eh wahshat e khayaal nateeja tere supurd
saagar ko qayanaat se takra rahah hoon main

jaata hoon bazm e hashar main is bedili ke saath
jaise kisi raqeeb ke ghar jaa rahah hoon main

dair o haram ki gard bahut door reh gayi
shayad ke maikade ke kareeb aa raha hoon main

mujhse bhi saada lauh koi hoga e adam
kasdhan kharaab hone ko phir jaa raha hoon

aapke waaste gunah sahi hum piyein toh sawaab banti hai
sau ghamon ko nichorne ke baad ek qatra sharaab banti hai

hum apni shaam ko jab nazre jaam karte hain
adab se humko sitaare salaam karte hain

gale lagaate hain dushman ko bhi suroor mein ham
bahut bure hain magar nek kaam karte hain

sajayein kyun na ise ye sarai hai dil ki
yahan haseen musafir kayaam karte hain

hayaat bech de thode se pyar ke badle
ye karobaar bhi tere ghulam karte hain

hamein tu ek nazar se nawaaz le saaki
ham apne hosh o khirad tere naam karte hain

'Qateel' kitne sukhan saaz hain ye sannate
sukoot e shab mein jo hamse kalaam karte hain

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha