chaar tinkon ka sahaara kuch nahi

jaane waale hamari mehfil se
chaand taaron ko saath leta ja
ham khizaon se nibah kar lenge
tu baharon ko saath leta ja

koi bhi waqt ho hasn kar guzar leta hoon
khizan ke daur mein ehde bahaar leta hoon
gulon se rang sitaron se roshni lekar
jamaal e yaar ka naksha utaar leta hoon

dil jalaane ki baat karte ho
aashiyaane ki baat karte ho
kis zamaane ki baat karte ho

chaar tinkon ka sahaara kuch nahi
sere gulshan mein hamaara kuch nahi

chain loota dil mera veeran kiya
bas bigaada hai sanwaara kuch nahi

jaan dene ke liye haazir hain hum
aashiqui ne ye khasara kuch nahi

jaan bhi di hui ushi ki thi
haq to ye hai haq ada na hua

mera dil le ke sheeshe ki tarah
paththar pe de maara
main kehta reh gaya
aashiqui ne ye khasara kuch nahi

utha ke phool ki patti nazakat se masal daali
ishare se kaha hum dil ka ye haal karte hain

kya kya khusamad ho rahi thi dil ke lene ke liye
kaise nazrein pher li matlab nikalne ke baad

bewafayi bhi tera ehsaan hai
isse badh kar haq hamaara kuch nahi

hamse dil lekar ye zaalim ne kaha
jaao rasta lo tumhara kuch nahi

saare aalam ne wohi woh hain 'Naseer'
unka sab kuch hai hamaara kuch nahi


Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha