ho nigah e karam ya muhammad

ya rab batufaile rasool e sakulain
ya rab batufail e khaata e badr honain
isiyan mein mara do hissa kundar a rasa
neevein bahassan ba baksh neeme hussain

isiyan se kabhi hamne kinaara na kiya
aur tune dil e azurda hamaara na kiya
hamne toh jahannum ki bahut ki tajweez
lekin teri rehmat ne gawaara na kiya

ya khuda jism mein jab tak ye mere jaan rahe
tujhpe sadke tere mehboob pe qurbaan rahe
kuch rahe ya na rahe par ye dua hai ke ameer
niza ke waqt salaamat merea imaan rahe

allah ki ham jalwagari dekh rahe hain
ya husn o jamaal o madani dekh rahe hain
jis waqt padho salle allah naam e muhammad
samjho ke rasool e arabi dekh rahe hain

main madine mein jo jaata toh kya karta
kuch na karta toh faqat roze ko dekha karta

ho nigah e karam ya muhammad ghamzadon ne hai tujhko pukaara
aur kuch bhi nahi paas mere bas tere naam ka hai sahaara

bekasi par meri kyun rote hain chchaale aaja
raah mein chor gaye hain kaafile aaja
musiyakaar mere aib khule jaate hain
kamli wale mujhe kamli mein chchupaale aaja

meri bigdi bhi bana sadka hassan naam e hussain
kar karam khatoon e jannat fatima ka waasta
shaamat e kamaal toh main ho chuka hoon rusiya
dekh tu apne karam ko mere aibon par na ja
zahidon ko naaz hai apne mataaye zohad par
mujhko kaafi hai faqat tere karam ka waasta
ya shafeel husnabi aye chaara saaze do jahaan
main khata ki inteha hoon tu ata ki inteha

kamli waaleya kamli de kaj parde
kali kamli di chchaan da waasta e
jithe tere nawaase da khoon duleya
os jagah os thaan da waasta e
jehnu karan farishte salaam aake
bhaagan waali os maa da waasta
kamli waaleya kamli di lajj rakh lai
tenu  tere hi naa da waasta e

har ik ko mil raha hai tere baitulmaal ka sadka
na quwwat ki  zakaatein sabro istaklaal ka sadka
tasadduk murtaza ka murtaza ki aal ka sadka
ata ho uch mujhko bhi faatima ke laal ka sadka

kar de karam iss kheti nu hari karde
mere lutte hoye chain da waasta e
tere abru kosain da waaste e
gunahgaar te nazre karam kar de
tenu tere hussain da waasta e

tune laakhon ki kisamt sanwaari
laaj rakhna meri sarkaar madine waale

tune laakhon ki kisamt sanwaari hai khuda ki khudayi tumhari
karbbala ke shaheedon ka sadka meri jaanib bhi ho ik ishaara

tu jahaan ka mila raaj tujhko bekason ki hai sab laaj tujhko
mujhko tufaan ka khauf kaisa jisne pakda ho daaman tumhaara

garche Saayim pade purkhata hain phir bhi aaka tumhare gada hain
teri ummat jahaanum mein jaaye kaise rehmat ko hoga gawaara

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha