shaikh ji baith kar maikashon mein

maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai
maine haseen rahguzaaron mein tumhein dekha hai
mere mehboob teri parda nasheeni ki kasam
maine ashqon ki qataaron mein tumhein dekha hai

udaasiyan jo na laate toh aur kya karte
na chasme shola manaate toh aur kya karte
andhera mangne aaya tha roshni ki bheekh
ham apna ghar na jalaate toh aur kya karte

oodi oodi ghatayein aati hain
mutribon ki nawayein aati hain
kiske gesu khule hain saawan mein
mehki mehki hawayein aati hain

dekh kar unki akhriyon ko adam
maikadon ko hayaein aati hain

paas rehta hai door rehta hai
koi dil mein zaroor rehta hai
jabse dekha hai unki ankhon ko
halka halka suroor rehta hai

aise rehte hain wo mere dil mein
jaise zulmat mein noor rehta hai
ab adam ka yeh haal hai har waqt
mast rehta hai choor rehta hai

shaikh ji baith kar maikashon mein tarq e mai ka iraada na karna
kufr hai aisi neymat ko paa kar shukr ka ek sajda na karna

kaali kaali ghata chchaa gayi hai
jee chaahta hai aaj koi aisi pila de
jo mast bana de kyun ke

tauba ka iraada badla hai
barsaat ki neeyat theek nahi hai

mutrib rabaab utha ke tabiyat udaas hai
saaki sharaab la ke tabiyat udaas hai

cham cham karke saawan aaya
mee ke dar se bhaagi tauba tauba

saaki bhi hai sharaab bhi hai
tauba ka iraada badla hai

kaali kaali ghata chchaa gayi hai chal rahi hai hawa thandi thandi
rut nasheeli hai do ghoont pee lo duniya waalon ki parwah na karna

rut nasheeli zara do ghoont pee lo
aye zaahid aa tu sharaab pee le
na kar kuch ijtanab pee le
main teri maanun namaaz padh lun
tu meri maane sharaab pee le

bhala aise mein tauba kaun kare
rut nahseeli hai

kab aaoge jab aaoge
tum kab aaoge

baadal chaaya kaliyan mehki
gulshan mehka phool khile
aane waale sab aa phunche
aakhir tum kab aaoge

kab aaoge jab aaoge tab aaoge
kya banke qayaamat ka sabab aaoge
chaayi hai ghata aur barasti hai sharaab
tum ab bhi na aaye toh kab aaoge

teri aankheinn gulabi gulabi
ho na jaye do aalam sharaabi

khuda ke liye apni nazaron ko roko
ho na jaaye do aalam sharaabi

dil uska namaazi bann jaaye
ankh uski gulabi ho jaaye
tu jisko muhabbat se dekhe
saaki wo sharaabi ho jaaye

tumhara husn agar benaqaab ho jaaye
har ek jalwa khuda ki kitaab ho jaaye
sharaabiyon ko aqeedat hai is kadar tumse
jo tum pila do toh paani sharaab ho jaaye

kaali kaali ghata chchaa gayi hai chal rahi hai hawa thandi thandi
rut nasheeli hai do ghoont pee lo duniya waalon ki parwah na karna

chhup ke saaki ke daaman mein chakh lo hoga imaan taaza tumhara
aaj phursat mili hai gunah ki paarsaayi ka daawa na karna

kis tarah hogi bakhshish tumhari josh aayega kaise khuda ko
uski rehmat pe karke bharosa kufr hai iss gunah ka na karna

kya gazab kar rahe ho khudaara mai se labrez saagir na todo
toot kar baddua jaam denge badanoshi se tauba na karna

maikashon ko naseehat na kije kyun kisi se ulajhte ho nahaq
rind badnaam kar denge tujhko peene waalon se jhagda na karna

arz o sama ko saagir o paimaana kar diya
rindon ne qayanaat ko maikhaana kar diya

keh rahe ho bura mai ko bismil kyun gunah mool lete ho sar par
khud pilayegi jannat mein hoorein mai ko duniya mein ruswa na karna

Comments

  1. Share the link plz.. If ustad Nusrat Fateh Ali khan Sahab sung this version

    ReplyDelete
    Replies
    1. https://www.youtube.com/watch?v=pRGMyIUf5HM

      Delete
  2. To whom this kalaam belongs to??
    I want to read that sufi.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil