na rukte hain aansu na thamte hain naale

muhabbat ko koi manzil nahi hai
muhabbat mauj hai saahil nahi hai
meri afsurdagi pe hasne wale
tere pehlu mein shaya dil nahi hai

na rukte hain aansu na thamte hain naale
koi unse jaake bas itna keh de

kasid paayam e khat ko dena bahut na tu
bas mukhtasir yeh kehna na rukte hain aansu

na rukte hain aansu na thamte hain naale
kaho koi kaise muhabbat chchupa le

kare kya koi wo jab aayein yakayak
nigahon ko rokein ya dil ko sambhalein

chaman wale bijli se bole na chaale
gharibon ke ghar bekhata phoonk daale

qayamat hain zaalim ki neechi nigahein
khuda jaane kya ho jo nazrein utha le

karun aisa sajda wo ghabra ke keh dein
khuda ke liye ab toh sar ko utha le

tumhein bandaparwar ham hi jaante hain
kabhi humse kabhi gairon se shanasayi hai
baat kehne ki nahi tu bhi toh harjayi hai

har ek baat pe kehte ho tum ke tu kya hai
tumhi batao ye andaz e guftagu kya hai

tumhein bandaparwar ham hi jaante hain
bade sidhe sadhe bade bhole bhale

bas itni si doori yeh main hun ye manzil
kahan aake phoote hain paaon ke chchaale

'Qamar' main hun mukhtaar tanzeem e shab ka
hain mere hi bas mein andhere ujaale

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil