shams ud duha badr ud doja

tazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

khuda ka noor tujh mein hu ba hu hai
khuda pinha magar tu ru ba ru hai

teri azmat ka andaaza ho kisko
khuda hai aur khuda ke baad tu hai

shams ud duha badr ud doja teri badi tauqeer hai
soorat teri shah e ummam allah ki tasveer hai

alllah ne paas bula hi liya
bin dekhe khuda bhi reh na saki
aisi soorat teri kamli wale

main kya bataun tum kya ho ya habib allah
haseen jameel maleeh wajihizallah
jo badr chehra toh wallail hai ye zulf e siha
khatat kalaam e kallem o rukhat kalaam allah
ja khanjar rukh che jabeen lailah ilallah

shahe asrabi tere husn ki
kise taab jo kare hamsareen
na gulon mein aisi shaguftagi
na ye rung o boo na ye taazgi
ye anokhi chchab ye nayi phaban
ye adayein pyari ye saadgi
teri misl koi hua na ho
tere sadke jaaun main ya nabi

duniya se taa roze jaza unka hai mujhko aasra
main hoon ghulam e mustafa kaisi meri takdeer hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha