main talkhi e hayaat se ghabra ke pee gaya

saakiya ek jaam peene se jannatein ladkhada ke milti hain
laala o gul kalaam karte hain rehmatein muskura ke milti hain

main talkhi e hayaat se ghabra ke pee gaya
gham ki sihaya raat se ghabra ke pee gaya

chchalke hue the jaam pareeshan thi zulf e yaar
kuch aise haadisaat se ghabra ke pee gaya

main aadmi hun koi farishta nahi huzoor
main aaj apni zaat se ghabra ke pee gaya

itni daqeeq shai koi kaise samajh sake
yazdaan ke wakiyat se ghabra ke pee gaya

kaante toh khair kaante hain inse gila hi kya
phoolon ki vaardaat se ghabra ke pee gaya

'Sagar' vo keh rahe the ke pee lijiye huzoor
unki guzaarishaat se ghabra ke pee gaya

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil