teri yaad se wabasta hai har saans e zindagi

yaad teri bhula sakoon kaise yehi lede ke ik sahaara hai
taare gin gin ke raat kaati hai aahein bhar bhar ke din guzaara hai

teri yaad se wabasta hai har saans e zindagi
dil ko ye hi gawaara hai bas teri bandagi

muyassir hai tere zikr se mujhko sukoon e dil
jab tak rahoon main zinda rahe teri tishnagi

dil le raha hai hichkiyan ankhon mein intezaar
aaja ke ab toh ho gayi hai shaam e zindagi

tere hi naam se mujhe pehchaante hain log
jab se hui hai tere hi gham se wabastgi

ik ankh dekh loon unhein hasrat thi ye saji
lekin naseeb mein kahaan itni bulandgi

Comments

  1. Can you please post the English translation of this Kalaam.
    Thanks.

    ReplyDelete
    Replies
    1. yaad teri bhula sakoon kaise yehi lede ke ik sahaara hai
      taare gin gin ke raat kaati hai aahein bhar bhar ke din guzaara hai

      How can i forget your memory? After all, this is my support.
      I have the spent the night counting stars and sighing.

      teri yaad se wabasta hai har saans e zindagi
      dil ko ye hi gawaara hai bas teri bandagi

      Every breath is filled your memories,
      my heart craves only for your worship!

      muyassir hai tere zikr se mujhko sukoon e dil
      jab tak rahoon main zinda rahe teri tishnagi

      I get relief by your reference.
      Till I am alive, let so be the thirst of your love.

      dil le raha hai hichkiyan ankhon mein intezaar
      aaja ke ab toh ho gayi hai shaam e zindagi

      My heart reminisces, eyes wait for you.
      Come now, even my life has arrived at its dusk.

      tere hi naam se mujhe pehchaante hain log
      jab se hui hai tere hi gham se wabastgi

      People know me by your name,
      since I have come to be acqainted with you.

      ik ankh dekh loon unhein hasrat thi ye saji
      lekin naseeb mein kahaan itni bulandgi

      I was longing to have one glance,
      but my fortune was not such.

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil