thi jis ke muqaddar mein gadayi tere dar ki

thi jis ke muqaddar mein gadayi tere dar ki
qudrat ne usse raah dikhayi tere dar ki

ik neymat e uzwan se wo mehroom rahega
jis shakhs ne khairat e na payi tere dar ki

ye arzo sama ghaus teri zaat ka sadka
zameen aasmaan chaand sooraj sitaare
yeh duniya ye aalam ye harsu nazaare
sab hain teri zaat ka sadka

na falak na chaand taare na sahar na raat hoti
na tera jamaal hota na ye qayanaat hoti

adab na hoti shariyat na hoti
agar tum na hote haqeeqat na hoti

ye arzo sama ghaus teri zaat ka sadka
muhtaaj hai yeh saari khudayi tere dar ki

aaya hai 'Naseer' aaj tamaana yahi lekar
palkon se kiye jaaye safayi tere dar ki

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil