kamli wale ke karam ki baat hai

ya rab butfaile rasool saqlain
ya rab butfaile fatahe badr hunain
isiyan e mara do hissa ku dar e rafaq
niveba hassan  wa baksh mi bahussain

mushtaq e aaftaab e jamaal e muhammaden
ma banda e muhammad o aal e muhamaden
ma raj e hast lafe hulami e mustafa
ma kam tarin ghulam e bilal e muhammaden

ye lutf ye tumhara karam bemisal hai
ik ik gunahgar ka tumko khayal hai
ho mere haal pe bhi nigah e karam nawaaz
sarkaar ik nigah e karam ka sawaal hai

mangte khaali haath na laute
kitni mili khairat na poocho
unka karam phir unka karam hai
unke karam ki baat na poocho

kamli wale ke karam ki baat hai
karam ki baat hai akal o khirad ki baat nahi

jidhar jidhar bhi gaye wo karam hi karte gaye
kisi ne manga na manga wo jholi bharte gaye

bin mange diya aur itna diya
daaman mein hamaare samaaya nahi

kamli wale ke karam ki baat hai
warna mujh mangte ki kya aukaat hai

be-amal hun paas mere kuch nahi
laaj waale laaj tere haath hai

kamli wale sarre mehshar merea parda rakh le
aaj ke din tere mujrim ko nizamat hai badi

mujh gunahgar ko mein mehshar mein na bulwayein huzur
musiya saamne aate hue sharmaata hai

chashme rehmat bakusha sooe manam daad nazar
aye quraishi laqabi hashmi o muntalabi

harkaz wasila daawado man bewasila e
mara wasila nest bajuz aastaan e ko wali

khaas jami ke kami banda e to
chashme giriyan bashakarkhanda e do

aashiqan be saro saaman to ant
gasht e ummeed badaaman e do ant

ya mustafa ya mujtaba girham dana girham nada
takht e hama bechara ra taaba tuhi daaman tuhi
man aasiyam man aajdam man bekasam haal e mara
shaa shafa e roz e jaza tur sa tuhi pur saa tuhi

main deewana hun mere paas mehshar mein khade rehna
naajaane kya kahun main aur kya pooche khuda mujhse

noor se roshan jo qayanaat hai
jalwa e sarkar ki khairaat hai

mushkil e dard e sh aa sakti nahi
amina ka laal mere saath hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil