mera dhol maahi mere mann ka raja

kushtagane ishq ke sartaaj hain ganj e shakar
iztakare zohad ki mairaaj hain ganj e shakar
aashna e ramz e wahdat  paikar e khulq e azeem
benawaon bekason ki laaj hain ganj e shakar

mera dhol maahi mere mann ka raja
zamaane ka sultan ganj e shakar hai

mera sohna saanwal mera sohna qaaba
mera deen o imaan ganj e shakar e

koi kisi ka koi kisi ka
magar mere mann ka raja mera dhol maahi

majnu ko mili laila yusuf ko zuleekha
baba mere mann ka raja mera dhol maahi

sayyan nagar ki poochchat mohe
kaun tiharo var hai laaj ki maari
keh na sakun main var mora ganj e shakar hai

azal se tore sang bandhan hua hai
main jogan hoon tori tu mera piya hai

hain ajmer wale ki tasveer baba
muhammad ke jalwon ki tanveer baba

main baba ki chaukhat pe qurbaan jaaun
mere dil ka armaan ganj e shakar hai

karam ho karam ho karam mere baba
ghareebon ka rakh lo bharam mere baba

hai dono jahaan mein hamaara sahaara
tere isme zeeshaan ganj e shakar hai

tu qutabon ka khwaja tu waliyon ka raja
zara ek pal apni mehfil mein aaja

teri deed hogi meri eid hogi
mera dil meri jaan ganj e shakar hai

tera naam baba liya jaa rahe hain
tere hi karam se jiye jaa rahe hain

ye 'Sayyam' ki izzat ye nusrat ki nusrat
tera saara faizan ganj e shakar hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha