tu agar benaqaab ho jaye

tu agar benaqaab ho jaye
zindgaani sharaab ho jaaye

tu pilaaye jo mast nazaron se
maikashi lajawaab ho jaaye

dekh le shaikh agar tere ankhein
paarsaayi kharaab ho jaaye

tum agar mere saath saath chalo
zindagi qamyaab ho jaaye

jaam do tum jo apne haathon se
hamko peena sawaab ho jaaye

rooth jaayein agar hamse wo fana
marna jeena azaab ho jaaye

Comments









  1. This is not a Sufi ghazal.There are too many references to the kind of situations which rule out the purely spiritual yearnings.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks for your opinion. There are different perceptions of the same thing. It depends on how one views it.

      Delete
  2. This ghazal has nothing to do with perception. Its purely non- sufi.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ok brother, your point has been counted!

      Delete
    2. total sufi
      ae Khuda tu agar benaqaab ho jaye

      Delete
  3. here it is khuda to whom the ghazal is written for. Now read again

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil