dil mein jamaaye baithe hain naksha fareed ka

jo log garsishe dauran se maat khaate hain
fareed uddin hi unko gale lagaate hain

dar e fareed se khairaat paane aaye hain
ham apna bigda mukaddar banane aaye hain

jabeen e shauk ko sajde lutaane aaye hain
niyaazmand tere sar jhukaane aaye hain

gham e jahaan ke fasaane sunane aaye hain
tumhare faiz ki khairaat paane aaye hain

dil mein jamaaye baithe hain naksha fareed ka
paaya hai bekason ne sahaara fareed ka

paate hain faiz farshi o arshi fareed se
faiz ganj e shakar se paate hain

saabir ko nigah mein saagir bana diya
kitna bada makaam hai baba fareed ka

paate hain faiz farshi o arshi fareed se
bant ta hai do jahaan mein sadka fareed ka

mujh par yakeen nahi to malaik se pooch lo
arshe bareen ka taaj hai roza fareed ka

ajmer ki bahaar hai koo e fareed mein
aaye hain khwaja baantne sadka fareed ka

saabir bana kahin wo kahin bann gaya nizam
kaaba hai jiske waaste koocha fareed ka

ham hi nahi jamaal e fareed par
allah bhi chaahne wala fareed ka

sach shukr aye fana main ghulam e fareed hoon
hoga meri lehad main ujaala fareed ka

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha