pilao saaki pilao ke raat baaki hai

pilao saaki pilao ke raat baaki hai
tu hai saaki e zamaana teri zaat hai yagaana
mujhe hosh hi na aaye koi aisa jaam de de

dair o haram mein chal diye dair o haram ke log
jo rind the wo teri panahon mein aa gaye

bada e ishq pilao toh koi baat bane
tishnagi meri bujhao to koi baat bane

baadal ki tarah jhoom ke lehrake piyenge
saaki tere maikhane mein aake piyenge
dekhenge kidhar se aata hai gham e duniya
saaki tujhe ham saamne baithlake piyenge

pilao saaki pilao ke raat baaki hai
chalao daur chalao ke raat baaki hai

rahe na tishnagi dil ki karam ye ho jaye
nazar nazar se milao ke raat baaki hai

saaki mujhe sharaab ki tohmat nahi pasand
mujhe teri nigahon ka ilzaam chaahiye

sakiya mujhko teri mast nigahon ki kasam 
tune bebada mujhe mast bana rakha hai

hon jo das bees sharaabi to wo tauba kar le
shehar ka shehar dooba hua hai maikhane mein

aaye ye zulf e pareeshan dekh kar
main chchalakkta jaam kaisa chchor dun

ya to iss kaali ghata ko rok do
ya ijazat do main tauba tod dun

saara jahaan karega meri maikashi pe rashq
teri haseen nigahein agar jaam bann gayin

teri nazron ki haqiqat koi mujhse pooche
ankh ki ankh hai paimaane ka paimaana

dekh lo tum to gulistan abhi maikhaana bane
ankh jis phool pe daalo wo paimaana bane

main jaam uthaata hun tu angrayi le
mumkin hai iss tarah bahaar aa jaaye

kahin na maikade tareekiyon se chchup jaaye
abhi na shama bujhao ke raat baaki hai

rahe na hosh mujhe umr bhar ka aye saaki
kuch iss tarah se pilao ke raat baaki hai

pada hi rehne do chaukhat pe noor ko saaki
isse na hosh mein lao ke raat baaki hai


Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha