meri ankhon ko bakhshe hain aansu

meri ankhon ko bakhshe hain aansu
dil ko dagh e alam de gaye hain

is inayat ke qurban jaaun
pyar manga tha gham de gaye hain

yeh keh kar diya mere kismat mein naale
tumhari amaanat tumhare hawaale

unki furqat mein koi neem sa ham dum na raha
ik shab e gham hai jo tanha mere ghar hoti hai

zamaane pe unke karam dekhte hain
magar apni kismat ko ham dekhte hain

yeh hamaara hi dil tha bemange jholiyan bhar ke unko pyar diya
unse shikwa nahi magar dekho dil diya wo bhi beqaraar diya

wafaon ke badle jafa kar rahe hain
main kya kar raha hoon woh kya kar rahe hain

chain loota dil mera veeran kiya
bas bigaada hai sanwaara mera kuch nahi

phenk dete hain nazar dil se bhula dete hain
kya log yun hi muhabbat ka sila dete hain

dene aaye the humko tasalli wo tasalli toh kya humko dete
tod kar qaaba e dil hamaara hasraton ke sanam de gaye hain

dil dhadakta hai fariyad karke ankh darti hai ansu baha ke
aisi ulfat se woh jaate jaate mujhko apni kasam de gaye hain

siskiyan dhadkane aaho zaari bekasi bekali beqaraari
do ghadi ki mulaakaat mein woh kitna ranj o alam de gaye hain

aakar bhi tadapaate hain
jaakar bhi woh tadapaate hain

marhaba maikashon ka mukaddar ab toh pina ibaadat hai 'Anwar'
aaj rindon ko peene ki daawat waaiz e mohtaram de gaye hain

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil