tu kuja man kuja

tu kuja man kuja

tu ameer e haram main fakeer e ajam
tere gun aur yeh lab main talab hi talab
tu ata hi ata tu kuja man kuja

ilhaam hai jaama tera
quran amaama hai tera
minbar tera arshe bareen
ya rehmatal lilaalameen

tu haqeeqat hai main bas ehsaas hoon
tu samundar main bhatki hui pyaas hoon

mera ghar khaak par aur teri rehguzar
sidrat al muntaha tu kuja man kuja

khushboo teri joo e karam
ankhein teri baab e haram
noor e azal teri jabeen
ya rehmatal lilaalameen

mera har saans to khoon chode mera
teri rehmat magar dil na tode mera
kasa e zaat hoon teri khairaat hoon
tu sakhi main gada tu kuja man kuja

khairul bashar rutba tera
awaaz e haq qutba tera
aafaaq teri saamayi
saais jibraeel ameen
ya rehmatal lilaal ameen

tu kujaon man kuja zikrat kuja
allah allah nisbat e shah o gada

nisbat teri imaan hai
khushboo teri irfaan hai
tafseer tere khulq ki
quran hi quran hai

tu haasil e duniya o deen
ya rehmatal lilaalameen

tu hai ahraam anwaar bandhe hue
main daroodon ki dastaar bandhe hue
qaaba e ishq tu main tere chaar soo
tu asar main dua tu kuja man kuja

daawa hai teri chaah ka
iss ummat e gumraah ka
tere siwa koi nahi
ya rehmatal lilaalameen

dagmagaun jo halaat ke saamne
aaye tera tasawwur mujhe thaamne
meri khushkismati main tera ummati
tu jaza main raza tu kuja man kuja

dooriyan saamne se jo hatne lagein
jaaliyon se nigahein lipatne lage
aansuon ki zubaan ho meri tar jubaan
dil se nikle sada tu kuja man kuja

tu hai masoomiyat
main niri masiyat
tu karam main khata
tu kuja man kuja

Comments

  1. Replies
    1. Bhai is naat ka maqta nhi hai

      Delete
    2. this nat was written by maulana jalal uddin rumi in farsi language in 13th century
      and translated muzaffar warsi in urdu

      Delete
  2. Who is the writer of this Naat
    dagmagaun jo halaat ke saamne
    aaye tera tasawwur mujhe thaamne
    meri khushkismati main tera ummati
    tu jaza main raza tu kuja man kuja

    this part of Naat it seems that it is Written by Imam Ahmed Raza

    ReplyDelete
    Replies
    1. This naat is written by Muzaffar Warsi.

      Delete
    2. This comment has been removed by the author.

      Delete
    3. Muzaffar Warsi Saab Ne Raza Lafz Likha Hai Aur Sab Samjh Rahein Hain K Ye Kalaam Imam E Ahle Sunnat ALa Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Aleh Rehma Ka LIkha Houwa Hai ... Kuch Kalaam Aese Bhi Hote Hain Jin Main Shayeer Apna Takhalus Nahi Likhte..

      Delete
  3. beautiful! would love a translation ...

    ReplyDelete
  4. Raza nafas dushman hai dam main na ana
    Kahan tum ney dekhain hain phirjaney waley

    ReplyDelete
  5. بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ

    ReplyDelete
  6. Tu kuja man kuja ka meaning kya hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. "Tu kuja man kuja" matlab ham yeh keh rahe hain ki ham insaan kahan aur woh kahan jo khudayi taaqat se juda hua hai.

      Delete
    2. Tu kahaa.... Main kahaa

      Delete
  7. Who is the writet of Naat Shareef
    "Tu Kuja Man Kuja"?

    ReplyDelete
  8. Mulana Rumi ka kalam hai ye....

    ReplyDelete
  9. Mulana Rumi ka kalam hai ye....

    ReplyDelete
  10. Ya ilahul aalmeen sarkaar sufi moulana rumi saheb k sadkhe hum ko b sarkaar k jaisa ashiq bana de. Ameen

    ReplyDelete
  11. Subhan ALLAH

    ReplyDelete
  12. Very humble poetry. I . Listen it many times and each time find it fresh. Word selection is very good.

    ReplyDelete
  13. Sufi lyrics is the best.
    Maine is qawali k lyrics bht jaga search kiye. But kisi k b lyrics pooray nahi likhay our galtiyaan v bht.
    And finally i found here the correct & the complete lyrics of this qawali.

    ReplyDelete
  14. Koi translate kar sakte hai kya joo-e-karam etc

    ReplyDelete
  15. Diya hamko Nabi ESA tera Ehsan h Moula
    Hamare pass bakhshish ka yahi saman h Moula
    Madeede ki gali Ko chod de Jannat ke badle me
    Ye souda ham nahi karte Hume huqsan h moula

    ReplyDelete
  16. First of all salam to everyone..my question is who is writer o this naat....

    ReplyDelete
  17. Neither Maulana Rumi(r.a) nor Mujadid Imam Ahle sunnat Imam Ahmad Raza


    (r.a)...but the author of this masterpiece is....Dr Muzaffar Warsi,,,u can check it on wikipedia by searching dr muzaffar warsi....

    ReplyDelete
  18. Assalamu Alaikum this is an Urdu Na att and it cud not be written by Maulana Rumi as He was a persian poet and if it was written by Ahmed Raza Khan Barelvi R A it wud have been in his kulliyaat so probably it must be written by Dr. Muzaffar Warsi may Allaah rest Him in Peace

    ReplyDelete
  19. Owais qadri shb ne jo ye klaam ko aurr b taweel pdhe h..... Eo h kya kisi k.paas likha hua???
    Jaise....tu wakat aakhri, m hu 2 4 pal,. Tu yakeen m guman, m sukhan, tu amal .......hme chaiye aage ka b

    ReplyDelete
  20. https://www.youtube.com/watch?v=dcXW1aCcB0s plz replace your old with this lyrics

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha