pyar ke phool chadhane ke liye aaye hain

saraapa deed bann kar hasrat e deedar mein aaye
muhabbat aazmane manzar e asraar mein aaye
jise mehzood hona ho nigah e yaar mein aaye
jise jo kuch bhi lena ho teri sarkaar mein aaaye
khuda jisko na milta ho woh is darbaar mein aaye

tere dar ke mangte tere dar pe baba adab se nigahein jhukaye hue hain
na jaayenge khaali tumhari sawaali yeh aaye tumhare bulaaye hue hain

pyar ke phool chadhane ke liye aaye hain
apne baba ko manaane ke liye aaye hain

dil mein meiraaj e ibaadat ki tamanna lekar
sar tere dar pe jhukaane ke liye aaye hain

apne mohtaajon pe farmao karam ganj e shakar
haal e gham tujhko sunaane ke liye aaye hain

sadka e khwaja qutab haath kiye kar lo qubool
jaan o dil tujhpe lutaane ke liye aaye hain

ho karam ganj e shakar aaj yeh deewane tere
bigdi takdeer banane ke liye aaye hain

husn e baba pe fida hoke yeh sab deewane
mehfil e ishq sajaane ke liye aaye hain

hai ziya unse faqat tu hi nahi dekh fana
mere baba toh zamaane ke liye aaye hain

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha