angrayi pe angrayi leti hai raat judayi ki
raazdaron se bach ke chalta hoon
ghambusaaron se bach ke chalta hoon
mujhko dhokha diya shaaron ne
ab sahaaron se bach ke chalta hoon
shab e gham ki sahar nahi hogi
ho bhi toh mere ghar nahi hogi
zindagi tu hi mukhtasar ho ja
shab e gham mukhtasar nahi hogi
raat yun dil mein teri bhooli hui yaad aayi
jaise veerane mein chupke se bahaar aa jaay
jaise sehraaon mein haule se chale bade naseem
jaise bemaar ko bewajah qaraar aa jaaye
maine purnoor sitaaron mein tujhe dekha hai
maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai
mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam
maine ashqon ki qataaron mein tumhein dekha hai
aaj ki baat phir nahi hogi
ye mulaakaat phir nahi hogi
aise baadal toh phir bhi aayenge
aisi barsaat phir nahi hogi
raat unko bhi hua mehsoos
jaise yeh raat phir nahi hogi
ik nazar mud ke dekhne wale
kya yeh khairaat phir nahi hogi
angrayi pe angrayi leti hai raat judayi ki
tum kya samjho tum kya jaano baat meri tanhayi ki
toot gaya sayiyaal nagine phoot bahe rukhsaaron par
dekho mera saath na dena baat hai yeh ruswayi ki
kaun sihayi bol raha hai waqt ke behte dariya mein
maine ankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjaayi ki
wasl ki raat na jaane kyun asraar tha unko jaane ka
waqt se pehle doob gaye taaron ki badi danayi ki
udte udte aas ka panchi door o phat mein doob gaya
rote rote baith gayi awaaz kisi saudaayi ki

Comments
Post a Comment