hain waris e khwaja qutub ganj e shakar baba fareed

noor ul khairul anaam baba fareed
husn husne tamaam baba fareed

auliya ke imaam marhaba zauhdo alam ambiya tum ho
auliya ke imaam baba fareed

haq e aisi wali ho tum jiske
auliya hain ghulam baba fareed

de do saabir nizam ka sadka
peer e sabir nizam baba fareed

mushkilein sabki karte hain aasaan
sabke aate hain kaam baba fareed

hain waris e khwaja qutub ganj e shakar baba fareed
fakhr e samaan aalina sab ganj e shakar baba fareed

apne hon chaahe gair hon sabpe karam karta hai tu
teri kareemi hai ajab ganj e shakar baba fareed

waliyon mein tujhko marhaba kehte hain ghaus ul ambiya
kya khoob hai tera laqab ganj e shakar baba fareed

teri raza rabb ki raza, rabb ki raza teri raza
surab ka hai tera hai rabb ganj e shakar bab fareed

mehboob hai dildaar hai har ik ko tujhse pyar hai
har dil mein hai tera adab ganj e shakar baba fareed

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil